vaqt se din aur raat
vaqt se kal aur aaj
vaqt kii har shah Gulaam
vaqt kaa har shah pe raaj
vaqt kii paaband hai.n
aate jaate raunake
vaqt hai phuulo.n kii sej
vaqt hai kaa.NTo.n kaa taaj
vaqt se din aur raat ...
aadamii ko chaahiye
vaqt se Dar kar rahe
kaun jaane kis gha.Dii
vaqt kaa badale mijaaz
vaqt se din aur raat ...