giitaayan An Interface to ISB

duniyaa ne terii duniyaa vaale - Deedaar (1951)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
duniyaa ne terii duniyaa vaale sukh chain hamaaraa chhiin liyaa pahale to basaa_ii dil me.n khushii phir dil kaa sahaaraa chhiin liyaa duniyaa ne terii duniyaa vaale ... kyaa kaam hame.n ab jiine se marane kii duaa_e.n kyo.n na kare.n tuufaan me.n kashtii aan pha.Nsii maujo.n ne kinaaraa chiin liyaa duniyaa ne terii duniyaa vaale ... ai Gam kii ghaTaa jaa aur kahii.n ab paas hamaare kuchh bhii nahii.n chamakaayaa tha jisane qisamat ko tuune vo sitaaraa chhiin liyaa duniyaa ne terii duniyaa vaale ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.