giitaayan An Interface to ISB

aap kii mahakii hu_ii zulf ko kahate hai.n ghaTaa - Trishul (1978)  

Lyrics: Sahir | Music: Khayyam | Singer(s): Yesudas, Lata 
View in Nagari (Hindi)
y: aap kii mahakii hu_ii zulf ko kahate hai.n ghaTaa y: aap kii madabharii aa.Nkho.n ko ka.Nval kahate hai.n l: mai.n to kuchh bhii nahii.n tum ko hasii.n lagatii huu.N l: is ko chaahat bharii nazaro.n kaa amal kahate hai.n y: ek ham hii nahii.n sab dekhane vaale tum ko y: sang-e-marmar pe likhii shoKh Gazal kahate hai.n l: aisii baate.n na karo jin kaa yaqii.n mushkil ho l: aisii taariif ko niyaat kaa Khalal kahate hai.n y: merii taqadiir ki tum ne mujhe apanaa samajhaa l: merii taqadiir ki tum ne mujhe apanaa samajhaa y, l: is ko sadiyo.n kii tamannaao.n kaa phal kahate hai.n - 2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.