giitaayan An Interface to ISB

duniyaa banaane vaale raamojii - Baap Beti (1954)  

Lyrics: Pradeep | Music: Roshan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
duniyaa banaane vaale raamojii gazab saa hai teraa i.ntazaam duniyaa banaane vaale raamojii gazab saa hai teraa i.ntazaam roshanii karane ko roz suuraj aataa raat ko chup-chaap chaa.Nd paharaa lagaataa daso dishaao.n me.n pavan jam ke dhulaataa(?) laakh parindo.n kaa bhii.D jhuum ke gaataa vaah re vaah re daataa are vaah re vaah re daataa kyaa Kuub teraa kaam duniyaa banaane vaale raamojii ... ajab teraa jaaduu hai ajab teraa khel jalate hai.n taaro.n ke diye roz binaa tel aag kaa hotaa nahii.n paanii se kabhii mel phir bhii baadalo.n me.n lagii bijaliyo.n kii bel gahare samandar ke bhii andar hai dhuum dhaam duniyaa banaane vaale raamojii ... kuchh zaruur hai terii kudarat me.n karaamaat kuchh zaruur hai kuchh zaruur hai terii kudarat me.n karaamaat tere ishaare pe yahaa.N ban rahii har baat ye zamiin ye gagan, ye prakash ye pavan ye samudr ye pahaa.D ye bhii ? tuu ne har ik pe ? dii hai binaa daam duniyaa banaane vaale raamojii ... % endsong %
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.