giitaayan An Interface to ISB

aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa - Yaasmin (1955)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa taaro.n me.n ha.Nsaa karanaa, phuulo.n me.n khilaa karanaa aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa jab se tumhe.n dekha hai, jab se tumhe.n paayaa hai kuchh hosh nahii.n mujhako, ek nashaa saa chhaayaa hai ab baat jo karanii ho, aa.Nkho.n se kahaa karanaa (aaiye kaash dha.Dakataa dil, kuchh der Thahar jaae ye raat, mohabbat kii, yuu.Nhii na guzar jaae) - 2 baakii abhii tum par, ye jaan fidaa karanaa aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa (kismat na dikhaae ab, gha.Diyaa.N hame.n furakat kii har raat yuu.Nhii chamake, taqadiir mohabbat kii) - 2 aaiye chaa.Nd sitaaro.n tum milajul ke duaa karanaa aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.