giitaayan An Interface to ISB

cha.ndaa hai tuu, meraa suuraj hai tuu - Aradhana (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: S D Burman | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(cha.ndaa hai tuu, meraa suuraj hai tuu o merii aa.Nkho.n kaa taaraa hai tuu) -3 jiitii huu.N mai.n bas tujhe dekhakar is TuuTe dil kaa sahaaraa hai tuu tuu khele khel ka_ii, meraa khilonaa hai tuu -2 jisase ba.Ndhii har aashaa merii meraa vo sapanaa salonaa hai tuu nanhaa saa hai kitanaa su.ndar hai tuu chhoTaa saa hai kitanaa pyaaraa hai tuu cha.ndaa hai tuu, meraa suuraj hai tuu munne tuu khush hai ba.Daa, tere guDDe kii shaadii hai aaj -2 mai.n vaarii re mai.n balihaarii re ghuu.NghaT me.n gu.Diyaa ko aatii hai laaj yuu.Nhii kabhii hogii shaadii terii duulhaa banegaa ku.nvaaraa hai tuu cha.ndaa hai tuu, meraa suuraj hai tuu purvaaii van me.n u.De, pa.nchhii chaman me.n u.De -2 raam kare kabhii ho ke ba.Daa tuu banake baadal gagan me.n u.De jo bhii tujhe dekhe vo ye kahe kis maa.N kaa aisaa dulaaraa hai tuu cha.ndaa hai tuu, meraa suuraj hai tuu
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.