giitaayan An Interface to ISB

dhiire dhiire cha.Dh gayaa nadii me.n paanii - Aagosh (1953)  

Lyrics: Shailendra | Music: Roshan | Singer(s): Hemant, Lata 
View in Nagari (Hindi)
ho~o dhiire dhiire chaDh gayaa nadi mei.n paani ho~o dhiire dhiire ho~o koi kahey tuufaan uThaa, koi kahey re aayi jawaani dhiire dhiire chaDh gayaa nadii mei.n paani ho~o dhiire dhiire.. (Lata) dil mei.n baiTha koi dil ki dhaDkan ginta jaaye, dhaDkan ginta jaaye mere dil ke bhed churaakar apne bhed chhupaaye, apne bhed chhupaaye ho~o jo jo meri priit baDhe main hotii jaa_uu.n diiwaani... dhiire dhiire chaDh gayaa nadi mei.n paani ho~o dhiire dhiire... (Hemantda) uThti girti lehre.n boley aao saath hamaare, aao saath hamaare aanewaali raat ka pehla taara kare ishaare, taara kare ishaare ho~o man ki batiyaa.n giit bani giito.n mein aayi ravaani... dhiire dhiire chaDh gayaa nadi mei.n paani ho~o dhiire dhiire... (both together) bachpan mei.n hum kar baiThe ek chhoTiisi naadaani, chhoTiisi naadaani lekin aaj usii ke dum se hai zindagi suhaani, hai zindagi suhaani ho~o do dil kya mil gaye ke aage baDhti jaaye kahaani... dhiire dhiire chaDh gayaa nadi mei.n paani ho~o dhiire dhiire...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.