giitaayan An Interface to ISB

pighalaa hai sonaa duur gagan par - Jaal (1952)  

Lyrics: Sahir | Music: S D Burman | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
l: pighalaa hai sonaa duur gagan par fail rahe.n hai.n shaam ke saaye ko: bhagavan tere sundar rachanaa kitanii pyaarii hai terii mahimaa ke guN gaataa har nar-naarii hai l: khaamoshii kuchh bol rahii hai.n bhed anokhe khol rahii hai.n pa.nkh pakhe.ruu soch me Gum hai.n pe.D kha.De hai sir jhukaa_e pighalaa hai sonaa ... dhu.ndale dhu.ndale mast nazaare.n u.Date baadal mu.Date dhaare chhup ke nazar se jaane ye kis ne hasaratii ye khel rachaa_e pighalaa hai sonaa ... ko_ii bhii uThataa raaz na jaane ek haqiiqat laaK fasaane ek hii jalavaa shaam savere bhes badal kar saamane aa_e pighalaa hai sonaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.