giitaayan An Interface to ISB

chaa.Ndanii raate.n, sab jag soye, ham jaage - Dopatta (Pakistan) (1952)  

Lyrics: Munshir Kazmi | Music: Firoz Nizami | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
ek diip jigar me.n bujhatii hai ik dard saa dil me.n hotaa hai ham raato.n ko uThakar rote hai.n jab saara aalam sotaa hai chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n sab jag soye, ham jaage, taaro.n se kare.n baate.n chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n thakatii thakatii chhuTii jaaye, aaj piyaa na aaye re, thakatii thakatii shaam savere dard anokhe uThe.n jiyaa ghabaraaye re, shaam savere raato.n ne merii nii.nd luuT lii -2 dil kii chhain churaaye dukhiyaa aa.Nkhe.n Dhuu.NDh rahii hai.n vohii pyaar kii baate.n chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n pichhalii raat me.n Gam ko TuuTakar chupake chupake roye re, pichhalii raat me.n chupake nii.nd me.n miit hamaare desh paraaye soye re, chupake nii.nd me.n dil kii dha.Dakane.n tujhe pukaare.n -2 aajaa baalam aaI bahaare.n baiTh ke tanahaaI me.n kar le sukh-dukh kii do baate.n chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n sab jag soye, ham jaage, taaro.n se kare baate.n chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.