(aa.Nsuu kii buu.Nd hai kabhii, jiivan
kabhii muskaan hai) -2
aa.Nsuu kii buu.Nd
(barasaat kii, ulajhan me.n jaa
aashaao.n ke, diipak jalaa) -2
jiinaa bahut mushkil sahii, maranaa
kahaa.N aasaan hai
aa.Nsuu kii buu.Nd
(jo baat hai dil me.n dabii
kho_ii na aa.Nkho.n me.n kahii.n) -2
tham jaaegaa dil me.n teraa, jo
dard kaa tuufaan hai
aa.Nsuu kii buu.Nd
(baazii us kii maut ho
bhuule jo apane aap ko) -2
us ne gagan ko chhuu liyaa, apane
jise pahachaan hai
aa.Nsuu kii buu.Nd hai kabhii, jiivan
kabhii muskaan hai
aa.Nsuu kii buu.Nd
|