giitaayan An Interface to ISB

chal sanyaasii, ma.ndir me.n, teraa chimaTaa merii chuu.Diyaa.N - Sanyaasi (1975)  

Lyrics: Vishveshvar Sharma | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
chal sanyaasii ma.ndir me.n, teraa chimaTaa merii chuu.Diyaa.N dono.n saath bajaae.nge, saath-saath khanakaae.nge kyuu.N ham jaaye.n ma.ndir me.n, paap hai tere a.ndar me.n lekar maalaa ka.nTh dushaalaa raam naam gun gaaye.nge resham saa ye ruup salonaa yauvan hai yaa tapataa sonaa ye terii mohan sii suurat kar ga_ii mujhape haae jaaduu-Tonaa kaisaa jaaduu-Tonaa, saarii man kii ye maayaa hai tum pe devii kisii rog kii pa.Dii vikaT chhaayaa hai chal sanyaasii ma.ndir me.n, teraa kama.nDal merii gagariyaa saath-saath chhalakaaye.nge, kyuu.N ham jaaye.n ma.ndir me.n paap hai tere a.ndar me.n ham to jogii raam ke rogii dhuunii alag ramaae.nge jaage-jaage so jaatii huu.N aur sapano.n me.n kho jaatii huu.N tab tuu meraa ho jaataa hai aur piyaa mai.n terii ho jaatii huu.N sapano.n me.n bharamaakar maanav sachchaa sukh khotaa hai are, raam naam japate rahane se kashhT duur hotaa hai chal sanyaasii ma.ndir me.n, teraa cholaa merii chunariyaa saath-saath ra.ngavaaye.nge, kyo.n ham jaaye.n ma.ndir me.n paap hai tere a.ndar me.n chho.D jhamele baiTh akele jiivan saphal banaaye.nge man se man kaa diip jalaa le madhur milan kii jyotii jagaa le puuraN kar de merii aashaa aaj mujhe apanaa le apanaa le man se man kaa diip jalaanaa mujhe nahii.n aataa hai bas puujaa kii jyot jalaanaa mujhe yahii bhaataa hai chal sanyaasii ma.ndir me.n, meraa ruup aur terii javaanii milakar jyotii jalaaye.nge, kyo.n ham jaaye.n ma.ndir me.n paap hai tere a.ndar me.n dharm chho.Dakar, dhyaan chho.Dakar paap nahii.n apanaae.nge prem hai puujaa prem hai puujan prem jagat hai prem hii jiivan mat kar tuu apamaan prem kaa prem hai naam prabhuu kaa ba.Daa hii paavan prem-prem kar ke mujhako kar degii ab tuu paagal meraa dhiiraj Dol rahaa hai, laaj rakhe ga.ngaa jal chal sanyaasii ma.ndir me.n, terii maalaa, meraa gajaraa ga.ngaa saath nahaaye.nge
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.