giitaayan An Interface to ISB

aaegaa aaegaa aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aaegaa aaegaa - Mahal (1949)  

Lyrics: Nakshab | Music: Khemchand Prakash | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
khaamosh hai zamaanaa, chup-chup hai.n sitaare aaraam se hai duniyaa, bekal hai dil ke maare aise me.n koii aahaT, is tarah aa rahii hai jaise ki chal rahaa hai, man me.n koii hamaare yaa dil dha.Dak rahaa hai, ik aas ke sahaare aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa -2 diipak baGair kaise, parvaane jal rahe hai.n -2 koii nahii.n chalaataa, aur tiir chal rahe hai.n ta.Dapegaa koii kab tak, be-aas be-sahaare -2 lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa bhaTakii huii javaanii, ma.Nzil ko Dhuu.NDhatii hai -2 maajhii baGair nayyaa, saahil ko Dhuu.NDhatii hai kyaa jaane dil kii kashtii, kab tak lage kinaare lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.