giitaayan An Interface to ISB

dil ke jharokhe me.n tujhako biThaakar - Brahmachari (1968)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
% The next song is from the movie "Brahmachari". Shammi runs a home for % orphans where he homes a lot of children. Rajshri takes shelter there % and also helps Shammi (sort of like "Mr. India" storyline? ;). It was % quite a popular movie of Shammi with some nice songs like, 'aaj kal % tere mere pyar ke charche' and 'main gavun tum so jao'. % Here is 'Dil ke jaroke mein..' by Rafi. The stanzas are % sung at a high pitch by Rafi. % % Urdu meanings of some words: % % surkh: red % tasawwur: imagination % shikwah: complaint/chiding % rukhsat: leave/permission/dismissal/indulgence % bye % satish % dil ke jharokhe me.n tujhako biThaakar yaado.n ko terii mai.n dulhan banaakar rakhuu.Ngaa mai.n dil ke paas, mat ho merii jaa.N udaas kal tere jalave paraaye bhii ho.nge, lekin jhalak mere khvaabo.n me.n ho.nge phUlo.n kii Dolii me.n hogii tU rukhasat, lekin mahak merii saa.nso.n me.n hogii dil ke jharokhe me.n ... ab bhii tere surkh hoTho.n ke pyaale, mere tasavvur me.n saaqii bane hai.n ab bhii terii zulf ke mast saaye, birahaa kii dhuup me.n saathii bane hai.n dil ke jharokhe me.n ... merii muhabbat ko Thukaraa de chaahe, mai.n koI tujhase naa shikavaa karu.ngaa aa.Nkho.n me.n rahatii hai.n tasviir terii, saarii umar terii puujaa karu.ngaa dil ke jharokhe me.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.