giitaayan An Interface to ISB

din Dhal jaaye haay, raat naa jaay - Guide (1965)  

Lyrics: Shailendra | Music: S D Burman | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
din Dhal jaaye haay, raat naa jaay tuu to na aae terii, yaad sataaye, din Dhal jaaye pyaar me.n jinake, sab jag chho.Daa, aur hue badanaam unake hii haatho.n, haal huaa ye, baiThe hai.n dil ko thaam apane kabhii the, ab hai.n paraaye din Dhal jaaye haay ... aisii hii rim-jhim, aisii fuvAre.n, aisii hii thii barasaat khud se judaa aur, jag se paraaye, ham dono.n the saath phir se vo saavan, ab kyuu.N na aaye din Dhal jaaye haay ... dil ke mere tum, paas ho kitanii, phir bhii ho kitanii duur tum mujh se mai.n, dil se pareshaa.N, dono.n hai.n majabuur aise me.n kisako, kaun manaaye din Dhal jaaye haaye ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.