giitaayan An Interface to ISB

ik din bik jaayegaa, maaTii ke mol - Dharam Karam (1975)  

Lyrics: Majrooh | Music: R D Burman | Singer(s): Mukesh, chorus 
View in Nagari (Hindi)
ik din bik jaaegaa, maaTii ke mol jag me.n rah jaae.nge, pyaare tere bol duuje ke ho.nTho.n ko, dekar apane giit koii nishaanii chho.D, phir duniyaa se Dol ik din bik jaayegaa ... laa laa lalallallaa (anahonii pag me.n kaa.NTe.n laakh bichhaae honii to phir bhii bichha.Daa yaar milaae ) - (2) ye birahaa ye duurii, do pal kii majabuurii phir koii dilavaalaa kaahe ko ghabaraaye, tarampam, dhaaraa, to bahatii hai, bahake rahatii hai bahatii dhaaraa ban jaa, phir duniyaa se Dol ek din ... (parade ke piichhe baiThii saa.Nvalii gorii thaam ke tere mere man kii Dorii ) - (2) ye Dorii naa chhuuTe, ye bandhan naa TuuTe bhor hone vaalii hai ab rainaa hai tho.Dii, tarampam, sar ko jhukaae tuu, baiThaa kyaa hai yaar gorii se nainaa jo.D, phir duniyaa se Dol ek din ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.