giitaayan An Interface to ISB

ham laaye hai.n tuufaan se kashtii nikaal ke - Jaagriti (1954)  

Lyrics: Pradeep | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
paase sabhii ulaT gae dushman kii chaal ke akshar sabhii palaT gae bhaarat ke bhaal ke ma.nzil pe aayaa mulk har balaa ko Taal ke sadiyo.n ke baad phir u.De bAdal gulaal ke ham laae hai.n tuufaan se kashtii nikaal ke is desh ko rakhanaa mere bachcho.n sambhaal ke tum hii bhavishhy ho mere bhaarat vishaal ke is desh ko rakhanaa mere bachcho.n sambhaal ke 1) dekho kahii.n barabaad nA hoe ye bagiichaa isako hR^iday ke khuun se baapuu ne hai sii.nchaa rakkhaa hai ye chiraaG shahiido.n ne baal ke, is desh ko... 2) duniyaa ke daa.nv pe.nch se rakhanaa nA vaastaa ma.nzil tumhaarii dUr hai lambaa hai raastaa bhaTakaa nA de koii tumhe.n dhokhe me.n Daal ke, is desh ko... 3) aiTam bamo.n ke jor pe ai.nThii hai ye duniyaa baaruud ke ik Dher pe baiThii hai ye duniyaa tum har kadam uThaanaa zaraa dekha bhaal ke, is desh ko... 4) aaraam kii tum bhuul bhulayyaa me.n nA bhuulo sapano.n ke hi.nDolo.n pe magan hoke nA jhuulo ab vaqt aa gayaa hai mere ha.Nsate hue phuulo.n uTho chhalaa.Ng maar ke aakaash ko chhuu lo tum gaa.D do gagan pe tira.ngaa uchhaal ke, is desh ko...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.