giitaayan An Interface to ISB

ham ne dekhii hai in aa.Nkho.n kii mahakatii khushabuu - Khamoshi (1969)  

Lyrics: Gulzar | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
hamane dekhii hai un aa.Nkho.n kii mahakatii Khushabuu haath se chhuuke ise rishto.n kaa ilzaam na do sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do koii naam na do hamane dekhii hai ... pyaar koii bol nahii.n, pyaar aavaaz nahii.n ek Khaamoshii hai sunatii hai kahaa karatii hai na ye bujhatii hai na rukatii hai na Thaharii hai kahii.n nuur kii buu.Nd hai sadiyo.n se bahaa karatii hai sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam na do hamane dekhii hai ... muskuraahaT-sii khilii rahatii hai aa.Nkho.n me.n kahii.n aur palako.n pe ujaale se jhuke rahate hai.n ho.nTh kuchh kahate nahii.n, kaa.Npate ho.nTho.n pe magar kitane Khaamosh se afasaane ruke rahate hai.n sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam na do hamane dekhii hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.