giitaayan An Interface to ISB

havaa ke saath saath, ghaTaa ke sa.ng sa.ng, o saathii chal - Seeta aur Geeta (1972)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore, Asha 
View in Nagari (Hindi)
havaa ke saath saath ghaTaa ke sa.ng sa.ng o saathii chal mujhe leke saath chal tuu yuu.N hii din-raat chal tuu sambhal mere saath chal tuu le haatho.n me.n haath chal tuu o saathii chal ek to ye mausam hai ba.Daa suhaanaa apanaa to ye dil bhii hai diivaanaa parbat se aake na Takaraa jaanaa tuu banake baadal o saathii chal ... ha.Nsatii hai ye duniyaa to ha.Nsane de are naagan banakar is rut ko da.Nsane de mujhako apanii aa.Nkho.n me.n basane de o banake kaajal o saathii chal ... apani reshamii zulphe.n laharaane de mujhako apanii baa.nho.n me.n aane de thak ga_ii aaj bahut mai.n ab jaane de naa mile.nge phir kal o saathii chal ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.