giitaayan An Interface to ISB

ishq kii garmii\-e\-jazbaat kise pesh karuu.N - Ghazal (1964)  

Lyrics: Sahir | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ishq kii garmii-e-jazbaat kise pesh karuu.N ye sulaGate hue din-raat kise pesh karuu.N husn aur husn kaa har naaz hai parde me.n abhii apanii nazaro.n kii shikaayaat kise pesh karuu.N terii aavaaz ke jaaduu ne jagaayaa hai jinhe.n vo tassavvur, vo Kayaalaat kise pesh karuu.N ai merii jaan-e-Gazal, ai merii iimaan-e-Gazal ab sivaa tere ye naGamaat kise pesh karuu.N koii hamaraaz to paauu.N koii hamadam to mile dil kii dha.Dakan ke ishaaraat kise pesh karuu.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.