giitaayan An Interface to ISB

jab ham chale.n to saath hamaaraa saayaa bhii na de - Pyaasa (1957)  

Lyrics: Sahir | Music: S D Burman | Singer(s): Guru Dutt 
View in Nagari (Hindi)
jab ham chale.n to saath hamaaraa saayaa bhii na de jab tum chalo zamii.n chale aasmaa.n chale jab ham ruke.n to saath ruke sham-e-bekasii jab tum ruko bahaar ruke chaa.Ndanii ruke ye ha.Nsataa huaa phuul, ye mahakaa huaa gulashan ye ra.Ng aur nuur me.n Duube hue raahe.n ye phuulo.n kaa ras piike machalate hue bha.nvare mai.n duu.N bhii to kyaa duu.N ai shokh nazaaro.n le de ke mere paas kuchh aa.Nsuu hai.n, kuchh aahe.n o aasmaa.n-vaale kabhii to nigaah kar -2 ab tak ye zulm sahate rahe Kaamoshii se ham ta.ng aa chuke hai.n kashamaakash-e-zi.ndagii se ham Thukaraa na de jahaa.N ko kahii.n be-dilii se ham maayuusii-e-mak-e-muhabbat na puuchhiye apano.n se pesh aaiye, hai.n be-gaa.ngegii se ham aavaaz: bhaaii, koii khushii kaa giit sunaao ham Gamazadaa hai.n, laae.n kahaa.N se khushii ke giit de.nge vohii ho paae.nge is zi.ndagii se ham Gar kabhii mile zi.ndagii ko itteffaaq se puuchhe.nge apanaa haal, terii bebasii se ham ubhare.nge ek baar abhii dil ke valavale maanaa ke dab gae hai.n Gam-e-zi.ndagii se ham lo aaj hamane to.D di_aa rishtaa-e-ummiid lo ab kabhii Gilaa na kare.nge kisii se ham
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.