giitaayan An Interface to ISB

jaise suuraj ki garmii se jalate hue tan ko - Parinay (1974)  

Lyrics: Ramanand Sharma | Music: Jaidev | Singer(s): Sharma Bandhu 
View in Nagari (Hindi)
jaise suuraj kii garmii se jalate hue tan ko mil jaaye taruvar ki chhaayaa aisaa hii sukh mere man ko milaa hai mai.n jabase sharaN terii aayaa, mere raam bhaTakaa huaa meraa man thaa koI mil naa rahaa thaa sahaaraa laharo.n se la.Datii huI naav ko jaise mil naa rahaa ho kinaaraa, mil naa rahaa ho kinaaraa us la.Dakha.Daatii huI naav ko jo kisii ne kinaaraa dikhaayaa aisaa hii sukh ... shiital bane aag cha.ndan ke jaisii raaghav kR^ipaa ho jo terii ujiyaalii puunam kii ho jaae.n raate.n jo thii.n amaavas a.ndherii, jo thii.n amaavas a.ndherii yug-yug se pyaasii marubhuumi ne jaise saavan kaa sa.ndes paayaa aisaa hii sukh ... jis raah kii ma.nzil teraa milan ho us par kadam mai.n ba.DhaaU.n phuulo.n me.n khaaro.n me.n, patajha.D bahaaro.n me.n mai.n na kabhii DagamagaaU.n, mai.n na kabhii DagamagaaU.n paanii ke pyaase ko taqadiir ne jaise jii bhar ke amR^it pilaayaa aisaa hii sukh ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.