giitaayan An Interface to ISB

aanaa hii pa.Degaa - Laalaa Rukh (1958)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: Khayyam | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
##The slow lines before the main song:## udaas udaas fizaao.n me.n nuur chhalakaao bujhe bujhe hue taaro.n ko ha.Ns ke chamakaao Gurur-e-husn salaamat na raah dikhalaao rabag Duub gayaa, khuune ab to aa jaao (?) aanA hii pa.Degaa, aanaa hii pa.Degaa sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa aanaa hii pa.Degaa ( nagamaa meraa har saa.Ns me.n ras ghol rahaa hai is saa.Ns ke parade me.n khudaa bol rahaa hai ) - 2 chhe.Daa hai agar saaz to gaanaa hii pa.Degaa - 2 sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa aanaa hii pa.Degaa aanaa hii pa.Degaa aa aa ( Tapakegaa lahuu dard bhare raag se kab tak khelegii terI mast adaa aag se kab tak ) - 2 is khel me.n ab haath jalaanaa hii pa.Degaa - 2 sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa aanaa hii pa.DegA aanaa hii pa.Degaa aa aa ( ulfat kabhii duniyA se Daregii nA Darii hai phuulo.n se javAnI ne sadaa maa.Ng bharii hai ) - 2 ha.Nsane ke liye zakhm to khaanaa hii pa.Degaa - 2 aanA hii pa.DegA - 4 % % * Ab sawwal ye hai ke Shyaama aayi ya nahiin ? % Bilkul bhaagati aayi aur sar bhi jhukaaya kadmon mein :)
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.