giitaayan An Interface to ISB

chhupaa le daaG\-e\-jigar ... ai dard\-e\-jigar fariyaad na kar - Bahu (1955)  

Lyrics: S H Bihari | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
## prelude ## chhupaa le daaG-e-jigar daaG-e-dil zamaane se ki dard aur ba.Dhegaa inhe.n dikhaane se ai dard-e-jigar, fariyaad na kar bahate hai.n to aa.Nsuu bahane de saahil kii tamannaa karataa jaa ma.Njhadhaar me.n kashtii rahane de hamako to zamaane se apanaa dukh-dard chhupaae rahanaa hai ho jaae na apanii rusawaaii har zulm ko ha.Ns kar sahane de dil sau.np chuke hai.n ham jin ko ab unase shikawaa kyaa karanaa jis haal me.n rakhanaa chaahe.n wo us haal me.n ham ko rahane de
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.