giitaayan An Interface to ISB

Kaamosh hai khevanahaar meraa naiyyaa merii Duubii jaatii hai - Amar (1954)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
Kaamosh hai khevanahaar meraa, naiyyaa merii Duubii jaatii hai Kaamosh hai khevanahaar meraa, naiyyaa merii Duubii jaatii hai zi.ndaa huu.N magar ab jiine kii ummiid bhii TuuTii jaatii hai saahil kii tamannaa thii mujh ko, ma.njhadhaar me.n be.Daa jaa pahu.Nchaa jiine kii duvaa_e.N kyaa maa.Nguu, paanii to gale tak aa pahu.Nchaa dil Dhuu.NDh rahaa hai duniyaa ko, duniyaa hai kii chhuuTii jaatii hai naiyyaa merii Duubii jaatii hai, Kaamosh hai khevanahaar meraa Gam apanaa zabaa.N tak laa na sakuu.N sa.nsaar ko mu.Nh dikhalaa na sakuu.N ghuTataa hai jo dam, rukate hai.n qadam, baDhate hai.n qadam, rukate hai.n qadam, ghuTataa hai jo dam, rukate hai.n qadam, ma.nzil kii taraf bhii jaa na sakuu.N bhaTakaa hu_aa raahii jaan ke ab taqadiir bhii ruuThii jaatii hai naiyyaa merii Duubii jaatii hai, Kaamosh hai khevanahaar meraa charano.n me.n hai tere laaj merii, sun aaj zaraa fariyaad merii tuu duur nahii.n, majabuur nahii.n, nagarii hai magar barabaad merii kyaa yuu.N hii gariibo.n kii duniyaa sa.nsaar me.n luuTii jaatii hai naiyyaa merii Duubii jaatii hai, Kaamosh hai khevanahaar meraa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.