(dil meraa ek aasa kaa pa.nchhii, u.Dataa hai u.Nche gagan par
pahu.Nchegaa ek din kabhii to chaa.Nd kii ujalii jamii.n par) -2
dil meraa ek aasa kaa pa.nchhii
(ye duniyaa hai naujavaano.n kii, zamaanaa hai naujavaano.n kaa
havaaye.n bhii gunagunaatii hai.n, taraanaa ham naujavaano.n kaa)
-2
badalegii ek din ye hastii, chamakegaa ek din muqaddar
aayegaa jhumataa saberaa, jiivan me.n roshanii ko lekar
dil meraa ek aasa kaa pa.nchhii, u.Dataa hai u.Nche gagan par
pahu.Nchegaa ek din kabhii to chaa.Nd kii ujalii jamii.n par
dil meraa ek aasa kaa pa.nchhii
(kabhii manzil bhii mila jaayegii, abhii to har aasa baakii hai
ummmiido.n par naubahaare.n hai, jahaa.N taka ye saa.Nsa baakii hai)
-2
puurii hogii har tamannaa, chhuu luu.Ngaa aasamaa.N ko ba.Dhkar
chaahe to ruka naa sakegaa, duniyaa ke raasto.n pe chalakar
dil meraa ek aasa kaa pa.nchhii, u.Dataa hai u.Nche gagan par
pahu.Nchegaa ek din kabhii to chaa.Nd kii ujalii jamii.n par
dil meraa ek aasa kaa pa.nchhii
|