giitaayan An Interface to ISB

ik shammaa jalatii hii rahii parawaanaa aayaa hii nahii.n - (Non-Film)  

Lyrics: Sehba Akhtar | Music:  | Singer(s): Habib Wali Mohammed 
View in Nagari (Hindi)
ik shammaa jalatii hii rahii parawaanaa aayaa hii nahii.n us bewafaa ke pyaar me.n wo raat bhar rotii rahii ik shamaa jalatii hii rahii parawaanaa aayaahii nahii.n kahaa usane ro ke o bewafaa terii baahe.n thii.n meraa haar, haar re teraa pyaar thaa merii zi.ndagii kahaan kho gayaa teraa pyaar, pyaar re tere saath aisii bahaar thii ke jo raat thii wo si.ngaar thii ke jo raat thii wo si.ngaar thii meraa har si.ngaar miTaa diyaa mujhe tuune kaisaa silaa diyaa ke Kushii bhii Gum me.n badal ga_ii merii sej sholo.n me.n Dhal ga_ii ik shammaa jalatii hii rahii parwaanaa aayaa hii nahii.n jise samajhaa shamma ne bewafaa wo chalaa ke baat naa jaaye re, jaaye re magar ek aa.ndhii ne raah me.n use zakhamii kar diyaa haaye re haay re wo huzoor-e-husn to aa gayaa parajhal kaa saayaa bhii chhaa gayaa parajhal kaa saayaa bhii chhaa gayaa na Kabar thii shammaa ko ye magar ke jo paas TuuTe pa.De hai.n par hai.n nishaanii usake hii pyaar kii jo nissaar kar gayaa zi.ndagii par shamaa kahatii hii rahii parwaanaa aayaa hii nahii.n parwaanaa aayaa hii nahii.n parwaanaa aayaa hii nahii.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.