giitaayan An Interface to ISB

ai vatan ke sajiile javaano mere naGme tumhaare liye hai.n - Non-Film (Pakistan) (1965)  

Lyrics: Jamiluddin Aali | Music: Mian Sheharyar | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
ai vatan ke sajiile javaano mere naGme tumhaare liye hai.n sar-faroshii hai iimaa.N tumhaaraa jurrato.n ke parastaar ho tum jo hifaazat kare sarahado.n kii vo falak-bos diivaar ho tum ai shujaa'at ke zindaa nishaano mere naGme tumhaare liye hai.n biiviyo.n maao.n behano.n kii nazare.n tum ko dekhe.n to yuu.N jagamagaaye.n jaise Khaamoshiyo.n kii zubaa.N se de rahii ho.n vo tum ko du'aaye.n qaum ke ai jarii paas_baan mere naGme tumhaare liye hai.n tum pe jo kuchh likhaa shaa'iro.n ne us me.n shaamil hai aavaaz merii u.D ke pahu.Nchoge tum jis ufaq par saath jaayegii paravaaz merii chaa.Nd taaro.n ke ai raazadaano mere naGme tumhaare liye hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.