giitaayan An Interface to ISB

alam par alam sitam par sitam - Dost (1944)  

Lyrics: Shams Lakhnavi | Music: Sajjad Hussain | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
alam par alam, sitam par sitam ham uThaa_e hu_e hai.n zamaane kii garadish ke piise hu_e hai.n muqaddar ke hatho.n miTaa_e hu_e hai.n alam par alam, sitam par sitam ham uThaa_e hu_e hai.n na hamadam hai ko_ii na damsaaz ko_ii na hamdaard ko_ii na hamraaz ko_ii faqat saath hai ik musiibat hamaare kaleje se us ko lagaa_e hu_e hai.n alam par alam, sitam par sitam ham uThaa_e hu_e hai.n hai qisamat jo ulaTii, samajh bhii hai ulaTii nigaah bhii hai ulaTii har ik baat ulaTii nazar aatii hai dushamanii dostii me.n jahaa.n bhar ko dushaman banaa_e hu_e hai.n alam par alam, sitam par sitam ham uThaae hu_e hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.