giitaayan An Interface to ISB

ik yaad kisii ki yaad rahii - Shama (1946)  

Lyrics: Ehsan Rizvi | Music: Ghulam Haider | Singer(s): Shamshad, G M Durrani 
View in Nagari (Hindi)
GMD: ik yaad kisii ki yaad rahii aur saarii duniyaa bhuul gaye dil Gam ke giit sunaataa hai aaraam kaa NaGamaa bhuul gaye SHA: hai dil ke saaz kii duharii lay dukh-dard bhii hai aaraam bhii hai kyuu.n Gam kii lambhii taano.n me.n tum giit Kushii kaa bhuul gaye ik yaad kisii ki yaad rahii aur saarii duniyaa bhuul gaye GMD: kyuu.nkar mai.n ha.Nsuu.N dil rotaa hai ab Kuun bhii aa.Nsuu hotaa hai be_aas jahaa.n me.n rote hai.n jiine kii tamannaa bhuul gaye ik yaad kisii ki yaad rahii aur saarii duniyaa bhuul gaye SHA: jo taaraa Duubaa chamakegaa jo shamaa buujhii,haa.N, jal jaayegii shab guzaregii din nikalegaa aur na_ii Kushii phir aayegii kyuu.N Gam kii a.ndherii raato.n me.n tum din kaa nikalanaa bhuul gaye ik yaad tumahaarii GMD: haa.N yaad tumahaarii DONON: yaad rahii aur saarii duniyaa bhuul gaye ik yaad tumahaarii yaad rahii, yaad rahii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.