kishor:
ho jaaye phir us din kaa jo waadaa hai
bolo merii raadhaa kyaa iraadaa hai
are bolo bolo jaane jahaa.N ye maukaa milataa hai kahaa.N
haay re aao naa yaar sharmaao naa -2
aashaa:
kho ga_ii merii chunari ghar to jaane de
ban Than ke dobaara mujhako aane de
are mai.n huu.N terii jaane jahaa.N nikal kar jaa_uu.Ngii kahaa.N
haay re jaane de, lauT kar aane de -2
kishor:
tuune kiyaa jo bhii dil thaa teraa
aramaa.N meraa bhii to nikale zaraa
aashaa:
jo.Duu.N mai.n haath merii shakal to dekho
Tha.nDii se hai meraa haal buraa
kishor:
aajaa bedardii mausam kii sardii
kar degaa duur merii aaho.n kaa dhuaa.N
haay re aao naa, yaar sharmaao naa -2
aashaa:
kho ga_ii..
aashaa:
jaisii tuu chaahe wo baat kahuu.N
din ko bhii tere liye raat kahuu.N
kishor:
tum jo kaho to jaanii mai.n bhii tumhe.n
din me.n sitaare dikhalaa ke rahuu.N
aashaa:
tere liye to ye dillagii hai
merii to jaan chalii jaa_egii yahaa.N
haay re jaane de, yaa to mar jaane de -2
kishor:
ho jaaye..
aashaa:
kho ga_ii..
|