giitaayan An Interface to ISB

shafaq ho, phuul ho ... mai.n kaise kahuu.N jaaneman - Nargis (1993)  

Lyrics: Majrooh | Music: Basu Chakravarty | Singer(s): Jagjit Singh 
View in Nagari (Hindi)
shafaq ho, phuul ho, shabanam ho, maahataab ho tum nahii.n jawaab tumhaaraa ki laajawaab ho tum ||she'r|| mai.n kaise kahuu.N jaaneman teraa dil sune merii baat ye aa.Nkho.n kii siyaahii ye hoTho.n kaa ujaalaa yahii hai.n mere din-raat ||sthaayii|| kaash tujhako pataa ho tere ruK-e-raushan se taare khile hai.n diye jale hai.n dil me.n mere kaise-kaise mahakane lagii.n hai.n, wahii.n se merii raate.n jahaa.N se huaa teraa saath ||1|| paas tere aayaa thaa mai.n to kaa.NTo.n pe chalake lekin yahaa.N to qadamo.n ke niiche farsh bichh gaye gul ke ki ab zindagaanii hai fasl-e-bahaaraa.N jo haatho.n me.n rahe teraa haath ||2|| % fasl-e-bahaaraa.N = bahaar kaa mausam; basa.nt RRitu
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.