% \startsong \stitle{bachcho.n tum taqadiir ho kal ke hindustaan kii}% \film{Didi}% \year{1959}% \starring{Sunil Dutt, Shobha Khote, Jaishri, Sajjan, Om Prakash, Lalita Pawar}% \singer{Rafi, Asha}% \music{N Dutta}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10289 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % ra \: bachcho.n tum taqadiir ho kal ke hindustaan kii baapuu ke varadaan kii neharuu ke aramaan kii bachcho.n tum taqadiir \threedots aaj ke TuuTe kha.NDaharo.n par tum kal kaa desh basaa_oge jo ham logo.n se na hu_aa vo tum kar ke dikhalaa_oge ( tum nanhii.n buniyaade.n ho ) \-2 duniyaa ke na_e vidhaan kii bachcho.n tum taqadiir \threedots aa \: diin\-dharam ke naam pe ko_ii biij phuuT kaa bo_e naa jo sadiyo.n ke baad milii hai vo aazaadii kho_e naa do \: ( har mazahab se uu.Nchii hai ) \-2 qiimat insaanii jaan kii bachcho.n tum taqadiir \threedots ra \: phir ko_ii jayachand na ubhare phir ko_ii jaafar na uThe Gairo.n kaa dil Kush karane ko apano.n par kha.nzar na uThe do \: ( dhan\-daulat ke laalach me.n ) \-2 tauhiin na ho iimaan kii bachcho.n tum taqadiir \threedots aa \: naarii ko is desh ne devii kah kar daasii jaanaa hai jisako kuchh adhikaar na ho vo ghar kii raanii maanaa hai do \: ( tum aisaa aadar mat lenaa ) \-2 aa.D ho jo apamaan kii bachcho.n tum taqadiir \threedots rah na sake ab is duniyaa me.n yug saramaayaadaarii kaa tumako jha.nDaa laharaanaa hai mehanat kii saradaarii kaa ( tum chaaho to ) \-2 badal ke rakh do qismat har insaan kii bachcho.n tum taqadiir \threedots % #endindian \endsong