% \startsong \stitle{jaane kitane dukh sah kar ... dekhii terii duniyaa are}% \film{Farishta}% \year{1968}% \starring{Dev Kumar, Nivedita, Asha Nadkarni, Jagirdar, Jagdish Raj, Sudhir}% \singer{Mukesh}% \music{Duttaram}% \lyrics{Asad Bhopali}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10174 [V S Rawat] % Transliterator: % Credits: Srinivas Ganti % Comments: % \printtitle #indian % jaane kitane dukh sah kar patthar hiiraa banataa hai baraso.n kii qurbaanii se insaan farishtaa banataa hai dekhii terii duniyaa are dekhe tere kaam kisii ghar me.n subah kisii ghar me.n shaam dekhii terii duniyaa \threedots ye duniyaa hai miit Kushii kii dukh me.n shaamil ko_ii nahii.n sab hai.n ghaayal karane vaale iname.n ghaayal ko_ii nahii.n jo auro.n ke dard me.n ta.Dape kyaa aisaa dil ko_ii nahii.n hai \-2 dekhii terii duniyaa \threedots ik aa.Ngan me.n ujalii kirane.n ik aa.Ngan me.n hai a.Ndhiyaaraa ik daaman me.n mahakii kaliyaa.N ik daaman me.n hai a.ngaaraa apanaa sukh jo sabako baa.NTe dar\-dar bhaTake vo dukhiyaaraa \-2 dekhii terii duniyaa \threedots siidhaa rastaa chalane vaalaa har ma.nzil pe Thokar khaa_e sach ko duniyaa dhokhaa samajhe jhuuTh ke aage sar ko jhukaa_e sabakaa hamadam sabakaa saathii is duniyaa me.n kuchh naa paa_e \-2 dekhii terii duniyaa \threedots dora.ngii chaal samay kii dukh me.n Thahare sukh me.n bhaage chaahe dukh ho chaahe sukh ho dil hai vahii jo nis\-din jaage jo karataa hai jag me.n aisaa vo aataa hai usake aage dekhii terii duniyaa \threedots % #endindian \endsong