% \startsong \stitle{dushman naa kare dost ne ... baraso.n puraanaa ye yaaraanaa}% \film{Heraa Pheri}% \year{1976}% \starring{Amitabh Bachchan, Vinod Khanna, Saira Bano, Sulakshana Pundit}% \singer{Kishor}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Anjaan}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11259 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: % \printtitle #indian % dushman naa kare dost ne vo kaam kiyaa hai ki dostii ke naam ko badanaam kiyaa hai baraso.n puraanaa ye yaaraanaa ek pal me.n kyo.n TuuTaa yaar mere tuu aise ruuThaa ( jaise meraa rab ruuThaa ) \-2 baraso.n puraanaa \threedots teraa jahaa.N bhii giraa pasiinaa maine Kuun bahaayaa teraa lahuu banaa kyo.n paanii ye kaisaa din aayaa vo terii dostii thii merii zindagii banake pujaarii pyaar me.n tuune pyaar kaa ma.ndir luuTaa jaise meraa rab ruuThaa baraso.n puraanaa \threedots laharo.n par jyo.n gire lakiire.n TuuTii qasme.n saarii ret kii ik diivaar thii mere yaar kii jhuuThii yaarii ye sitam kyaa hu_aa kyaa lagii bad_du_aa jism se jaise jaan judaa ho saath teraa yuu.N chhuuTaa jaise meraa rab ruuThaa baraso.n puraanaa \threedots % #endindian \endsong