% \startsong \stitle{meraa shaayar hai tuu meraa naGmaa ... dil me.n tujhe rakh liyaa ajii shukriyaa}% \film{Maina}% \year{1992?}% \starring{}% \singer{Anuradha Paudwal, Pankaj Udhas}% \music{Naresh Sharma}% \lyrics{Payaam Sayyedi}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % meraa shaayar hai tuu meraa naGmaa hai tuu merii jannat hai tuu merii duniyaa hai tuu dil me.n tujhe rakh liyaa ajii shukriyaa merii dha.Dakan hai tuu merii chaahat hai tuu merii ma.nzil hai tuu merii kismat hai tuu pyaar mujhe de diyaa teraa shukriyaa janmo.n se pyaaraa tuu hai sanam tuu meraa jiivan meraa janam vaado.n kaa kyaa hai kasamo.n kaa kyaa tuu meraa vaadaa merii kasam tuu meraa dil hai tuu jaan hai jiivan pe teraa ehasaan hai saa.Nso.n kaa jiivan se khushbuu kaa phuulo.n se dilabara jo rishtaa hai apanaa hai rishtaa vahii meraa shaayar hai tuu \threedots rishtaa hamaaraa janmo.n kaa hai pyaaraa milan do ruuho.n kaa hai lagataa hai aisaa paa ke tujhe ye pyaar apanaa sadiyo.n kaa hai jitane janam bhii hamane li_e ik duusare ke ban ke ji_e saagar ne maujo.n ne cha.ndaa ne taaro.n ne dharatii ne ambar ne dekhaa hai apanaa milan meraa shaayar hai tuu \threedots % #endindian \endsong