% \startsong \stitle{bedard tere dard ko siine se lagaa ke}% \film{Padmini}% \year{1948}% \starring{Ashok Kumar, Mumtaz Shanti}% \singer{Lata}% \music{Gulam Haidar}% \lyrics{Wali Saheb}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10194 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % bedard tere dard ko siine se lagaa ke ro le.nge tasavvur me.n tujhe paas biThaa ke \-2 jab duur thii unase mai.n bahut paas thii unake kyuu.N duur kiyaa thaa yuu.N mujhe paas bulaa ke bedard tere dard ko \threedots barabaad bhii hoke na kare.nge teraa shikawaa \-2 ha.Ns le.nge ga_e vaqt ko ham saamane laa ke bedard tere dard ko \threedots ThaNDak unhe.n milatii hai agar merii jalan se \-2 dekhuu.Ngii tamaashaa mai.n bhare ghar ko jalaa ke bedard tere dard ko \threedots % #endindian \endsong