% \startsong \stitle{allaah hii allaah kar pyaare bha_ii}% \film{Pavitra Paapi}% \year{1970}% \starring{Ajay Parikshit Sahni, Tanuja, Bajraj Sahni, I S Jauhar, Achala Sachdev}% \singer{Rafi}% \music{Prem Dhawan}% \lyrics{Prem Dhawan}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10308 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: Based on a novel by Nanak Singh % \printtitle #indian % allaah hii allaah kar pyaare bha_ii allaah hii allaah o Tha.nDii aahe.n ( na bhar pyaare ) \-3 allaah hii allaah kar \threedots maulaa hii maulaa ko_ii aisii raat nahii.n hai jisakaa hotaa nahii.n saveraa ( kaa.NTo.n kaa dukh ) \-2 jhelane vaale phuulo.n par bhii haq hai teraa ( sukh de chaahe dukh de daataa ) \-2 ha.Ns ke jholii bhar pyaare bha_ii allaah hii allaah \threedots maulaa hii maulaa bol ( jo tere dil me.n khoT nahii.n to ) \-2 apane ki_e pe kyo.n pachhataanaa baa.NT le dard kisii kaa jag me.n aur yahaa.N se kyaa le jaanaa ( jab tak saaf hai dil kaa shiishaa ) \-2 duniyaa se naa Dar pyaare bha_ii allaah hii allaah \threedots maulaa hii maulaa bol kyaa jaane kab sapane TuuTe.n uja.D jaa_e Kushiyo.n kaa melaa kab ye qismat chho.D de tumako laa ke doraaho.n pe akelaa ( kitane mo.D abhii hai.n baakii ) \-2 kisako hai ye Kabar pyaare bha_ii allaah hii allaah \threedots maulaa hii maulaa bol kabhii\-kabhii is duniyaa me.n yaaro.n aise farishte bhii aate hai.n kisii ko apanaa sab kuchh de kar khaalii haath chale jaate hai.n ( jaise sukh kii chhaayaa dekar ) \-2 baadal jaa_e bikhar pyaare bha_ii allaah hii allaah \threedots maulaa hii maulaa bol % #endindian \endsong