% \startsong \stitle{chalo sahelii ... holii ke din dil khil jaate hai.n}% \film{Shole}% \year{1975}% \starring{Hema, Dharmendra, Amitabh, Amjad Khan, Sanjeev Kumar, Jaya Bhaduri}% \singer{Kishore, Lata}% \music{R D Burman}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11565 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: % \printtitle #indian % chalo sahelii chalo re saathii o paka.Do\-paka.Do re ise na chho.Do are bai.nyaa na mo.Do zaraa Thahar jaa bhaabhii jaa re saraabii kyaa ho raajaa galii me.n aajaa holii re holii bha.ng kii golii o nakhare vaalii duu.Ngii mai.n gaalii o raaamuu kii saalii holii re holii holii ke din dil khil jaate hai.n ra.ngo.n me.n ra.ng mil jaate hai.n gile shiqave bhuul ke dosto dushman bhii gale mil jaate hai.n gorii tere ra.ng jaisaa tho.Daa saa ra.ng milaa luu.N aa tere gulaabii gaalo.n se tho.Daa saa gulaal churaa luu.N jaa re jaa diivaane tuu holii ke bahaane tuu chhe.D na mujhe besharam puuch le zamaane se aise hii bahaane se li_e aur di_e dil jaate hai.n holii ke din dil \threedots yahii terii marazii hai to achchhaa tuu Kush ho le paas aa ke chhuunaa naa mujhe chaahe duur se bhigo le hiire kii kanii hai tuu motii kii banii hai tuu chhuune se TuuT jaa_egii kaa.NTo.n ke chhuune se phuulo.n se naazuk\-naazuk badan chhil jaate hai.n holii ke din dil \threedots % #endindian \endsong