% \startsong \stitle{merii chhoTii sii bahan dekho gahane pahan}% \film{Toofan Aur Deeyaa}% \year{1956}% \starring{Satish Vyas, Nanda, Rajendra Kumar, Vatsala, Shanta Kumari, Ulhas}% \singer{Geeta, Lata}% \music{Vasant Desai}% \lyrics{Bharat Vyas}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10052 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % gii \: merii chhoTii sii bahan dekho gahane pahan sasuraal chalii re ban Than ke haatho.n me.n gajaraa akhiyo.n me.n kajaraa nakhare to dekho dulhan ke merii chhoTii sii bahan \threedots la \: meraa bhaiyaa hai diivaanaa isakii baato.n me.n na aanaa jhuuThii batiyaa.N banaa_e ban ban ke pagalaa hai.n man se ye gha.Dii gha.Dii sanake isake puraje hai.n Dhiile bachapan se merii chhoTii sii bahan \threedots gii \: sasuraal ga_ii to diidii ham ko bhii bhuul jaa_ogii vahaa.N jiijaa kii miThaa_ii khaa khaa kuppe sii phuul jaa_ogii moTii moTii bahuu ban phir ba.De ba.De rob dikhaa_ogii na khilaa_ogii jo khaanaa peT bharu.n.Ngaa chorii chorii terii baate.n sun ke merii chhoTii sii bahan \threedots la \: bholii dekh ke mujhe bolii bolate kyo.n aka.D aka.D ke bach na paa_oge re bachchuu ham se yuu.N jhaga.D jhaga.D ke ham jaanate hai.n tumhe.n tum gol gol Dhol ho raba.D ke zaraa aane de bhaabhii ko siidhaa karegii kaan paka.D ke haa.N tere chuuhe jaise kaan paka.D ke paa.Nv paka.Doge tum naak raga.Doge tum merii chhoTii sii bahan \threedots % #endindian \endsong