% ITRANS SONG \startsong \stitle{yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng}% \film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}% \year{1983}% \starring{}% \singer{Asha}% \music{Ghulam Ali}% \lyrics{Faiz Ahmad Faiz}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 % Transliterator: % Credits: Surajit A Bose % Editor: Vinay P Jain \printtitle #indian ## This is the Ghazal as it appears in Faiz's original. ## ## In Asha's recording there are a few changes: "chhalakaa" ## ## for "jhalakaa" and "shiishaa-o-mai" for "shiishaa-e-mai". ## ## Ghulam Ali sings the last verse in live performances. ## yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa ra.ng saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal surKhii-e-lab me.n pareshaa.N terii aawaaz kaa ra.ng bepi_e huu.N ki agar lutf karo aaKhir-e-shab shiishaa-e-mai me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa ra.ng cha.ng-o-nai ra.ng pe the apane lahuu ke dam se dil ne lay badalii to maddham huaa har saaz kaa ra.ng ek suKhan aur ki phir ra.ng-e-takallum teraa harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa ra.ng % #endindian \endsong