% \startsong \stitle{terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai ki mar jaaye.n}% \film{House No. 44}% \year{1955}% \starring{Dev Anand, Kalpana Kartik}% \singer{Hemant}% \music{S D Burman}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % \printtitle #indian % terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai ki mar jaae.n vohii aa.Nsuu, vohii aahe.n, vohii Gam hai.n jidhar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n koii to aisaa ghar hotaa jahaa.N se pyaar mil jaataa vohii begaane chehare hai.n jahaa.N pahu.Nche jidhar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n are o aasamaa.N vaale bataa isame.n buraa kyaa hai khushii ke chaar jho.nke gar idhar se bhii guzar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n % #endindian \endsong %