% \startsong \stitle{tum ne pukaaraa aur ham chale aae}% \film{Rajkumar}% \year{1964}% \starring{Shammi Kapoor, Sadhana}% \singer{Suman Kalyanpur, Rafi}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Shailendra}% % % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Aug 17 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % \printtitle #indian % r: (tum ne pukaaraa aur ham chale aae dil hathelii par le aae re) \-2 su: (tum ne pukaaraa aur ham chale aae jaan hathelii par le aae re) \-2 r: aao baiTho hamaare pahaluu me.n panaah le lo merii jalatii hu_ii aa.Nkho.n pe ye aa.Nkhe.n rakh do ai mere pyaar ke Kvaabo.n kii hasii.n shahazaadii ho.nTh kyo.n kaa.np rahe hai.n, zaraa kuchh to bolo su: tum ne pukaaraa aur ham chale aae jaan hathelii par le aae re r: tum ne pukaaraa aur ham chale aae su: aaj khelo merii zulfo.n se, ijaazat hai tumhe.n mujhako chhuu lo, merii nas nas me.n sharaare bhar do mere diladaar merii aa.Nkho.n me.n rahane vaale mai.n tumhaarii huu.N, merii maa.Ng me.n taare bhar do r: tum ne pukaaraa aur ham chale aae dil hathelii par le aae re r: naam raushan hai tumhii.n se mere afasaane kaa zi.ndagii naam hai ulfat me.n jiie jaane kaa tum agar hamako na milate to ye suurat hotii log le jaate janaazaa tere diivaane kaa su: tum ne pukaaraa aur ham chale aae jaan hathelii par le aae re r: tum ne pukaaraa aur ham chale aae % #endindian \endsong %