% \startsong \stitle{tumhe.n yaad karate karate jaaegii rain saarii}% \film{Aamrapali}% \year{1966}% \starring:{Vyjayantimala, Sunil Dutt, Prem Nath}% \singer{Lata}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Shailendra}% \category{} % % Contributor: Nita Awatramani % Transliterator: Nita Awatramani % Date: November 6 1997 % Credits: % Editor: % Comments: % % \printtitle #indian % (tumhe.n yaad karate karate jaaegii rain saarii tum le gaye ho apane sa.ng nii.nd bhii hamaarii ) - 2 man hai ki jaa basaa hai, a.njaan ik nagar me.n kuchh khojataa hai paagal khoii huii Dagar me.n itane ba.De mahal me.n, ghabaraauu.N mai.n bechaarii tum le gaye ho apane sa.ng nii.nd bhii hamaarii tumhe.n yaad karate karate virahaa kii is chitaa se tum hii mujhe nikaalo jo tum na aa sako to, mujhe svapna me.n bulaa lo mujhe aise mat jalaao, merii priit hai ku.Nwaarii tum le gaye ho apane sa.ng nii.nd bhii hamaarii tumhe.n yaad karate karate tumhe.n yaad karate karate, tumhe.n yaad karate karate..... % #endindian \endsong %