% ITRANS Song #21416 % \startsong \stitle{o saa.Nvalii o saa.Nvalii o saa.Nvalii matawaalii}% \film{(Non-film)}% \year{1940s}% \starring{}% \singer{Kamal Dasgupta}% \music{Kamal Dasgupta}% \lyrics{}% % % Audio on: % Tags: Romance % Contributor: Prithviraj Dasgupta % Transliterator: Prithviraj Dasgupta % Date: 14 May 2009 % Series: GEETanjali % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20090905. % \printtitle #indian % o saa.Nvalii o saa.Nvalii o saa.Nvalii matawaalii tuune hai kyuu.N churaa lii mujhako mujh se bachaa lii dil me.n basii thii kal tak fariyaad aur aahe.n mehamaan ho gayii thii.n is ghar me.n sau balaaye.n in sab se kah diyaa hai dil kyuu.N na kar de khaalii hai aaj mere ghar me.n ek husn kaa Kazaanaa bikharii hu_ii hai.n zulfe.n chhe.Daa jo muskuraanaa kuchh bijaliyaa.N girii ho.n jaise ki ghaTaa kaalii aane se yahaa.N tere ye saa.Nvalii khilii hai mausam palaT gayaa hai duniyaa badal gayii hai aa.Nkho.n me jaag uThii hai mastii kii sau diwaalii % #endindian \endsong