% \startsong \stitle{kalii ke ruup me.n chalii ho dhuup me.n kahaa.N?}% \film{Nau Do Gyaarah}% \year{1957}% \starring{Dev Anand, Kalpana Karthik}% \singer{Rafi, Asha}% \music{S D Burman}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Neha Desai % Editor: % \printtitle #indian % kalii ke ruup me.n chalii ho dhuup me.n kahaa.N? suno jii maharabaa.N, hoge na tum jahaa.N, vahaa.N kyaa hai kaho jaldii, ki ham to hai.n chal dii apane dil ke sahaare ab na ruke.nge to dukhane lage.nge paa.Nv naazuk tumhaare raah me.n ho ke gum, jaaoge chhup ke tum, kahaa.N? suno jii maharabaa.N, hoge na tum jahaa.N, vahaa.N chal na sake.nge sambhal na sake.nge ham tumhaarii balaa se milaa na sahaaraa to aaogii dubaaraa khi.nch ke merii sadaa pe chho.Do diivaanaapan, ajii janaab man kahaa.N? suno jii maharabaa.N, hoge na tum jahaa.N, vahaa.N maanoge na tum bhii to e lo chale ham bhii ab ham.en na bulaanaa jaate ho to jaao, adaaye.n na dikhaao dil na hogaa nishaanaa havaa pe baiTh ke, chale ho ai.nTh ke, kahaa.N? suno jii maharabaa.N, hoge na tum jahaa.N, vahaa.N % #endindian \endsong %