% \startsong \stitle{mai.n ne puuchhaa chaa.Nd se}% \film{Abdullah}% \year{1980}% \starring{Raj Kapoor, Sanjay Khan, Zeenat Aman, Danny}% \singer{Rafi}% \music{R D Burman}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Ravi K Rai % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Rajeev H, Vishal Ailawadhi, Tabassum Hijazi % Editor: % \printtitle #indian % mai.n ne puuchhaa chaa.Nd se ki dekhaa hai kahii.n mere yaar saa hasii.n chaa.Nd ne kahaa chaa.Ndanii kii qasam nahii.n, nahii.n, nahii.n mai.n ne puuchha chaa.Nd se \threedots khuubsuuratii jo tuune paa_ii luT ga_ii Kudaa kii bas Kudaa_ii miir kii Gazal kahuu.N tujhe mai.n yaa kahuu.N Kayaam kii rubaa_ii mai.n jo puuchhuu.N shaayaro.n se aisaa dilanashii.n koii sher hai kahii.n shaayar kahe shaayarii kii qasam nahii.n, nahii.n, nahii.n mai.n ne puuchhaa chaa.Nd se \threedots mai.n ne ye hijaab teraa Dhuu.NDhaa har jagah shabaab teraa Dhuu.NDhaa kaliyo.n se misaal terii puuchhii phuulo.n me.n javaab teraa Dhuu.NDhaa mai.n ne puuchhaa baaG se falaq ho yaa zamii.n aisaa phuul hai kahii.n baaG ne kahaa har kalii kii qasam nahii.n, nahii.n, nahii.n mai.n ne puuchhaa chaa.Nd se \threedots ho chaal hai ki mauj kii ravaanii zulf hai ki raat kii kahaanii ho.nTh hai.n ki aa_ine ka.Nval ke aa.Nkh hai ki may_qado.n kii raanii mai.n ne puuchhaa jaam se falaq ho yaa zamii.n aisii may bhii hai kahii.n jaam ne kahaa, may_kashii kii qasam nahii.n, nahii.n, nahii.n mai.n ne puuchhaa chaa.Nd se \threedots % #endindian \endsong %