% \startsong \stitle{merii duniyaa me.n tum aayii.n}% \film{Heer Ranjha}% \year{1970}% \starring{Rajkumar, Priya Rajvansh}% \singer{Lata, Rafi, Rajkumar, Priya Rajvansh}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Kaifi Azmi}% % % Contributor: Vijay Kumar % Transliterator: Vijay Kumar % Credits: % Comments: % \printtitle #indian % ra : merii duniyaa me.n tum aayii.n kyaa kyaa apane saath liye tan kii chaa.Ndii man kaa sonaa sapano.n vaalii raat liye tanhaa tanhaa khoyaa khoyaa dil me.n dil kii baat liye kab se yuu.N hii phirataa huu.N mai.n aramaa.N kii baaraat liye ## Spoken phrases ## raa : andhere kaa ishaaraa samajho ab diyaa dil kaa jalaanaa hogaa pri : tum ba.De vo ho, mujhe jaane do raa : jaa sakogii? pri : mujhe jaanaa hogaa raa : to jaa_o pri : chho.Do bhii raa : nahii.n pri : chho.Do na raa : aaj kii raat to dil to.Do na ## Singing resumes ## la : Dhalakaa aa.Nchal phailaa kaajaal aa.Nkho.n me.n ye raat liye kaise jaa_uu.N sakhiyo.n me.n ab terii ye saugaat liye Dhalakaa aa.Nchal phailaa kaajal dil kii ye dha.Dakan sun le na koii haay haay haay dekhe na koii ra : na jaao na jaao na jaao la : haTo haTo Dar lagataa hai ra : suno suno la : Dar lagataa hai ra : dil me.n kitanii kaliyaa.N mahakii kaise kaise phuul khile naazuk naazuk miiThe miiThe ho.nTho.n kii khairaat liye la : chaa.Nd se kaise aa.Nkh milaa_uu.N ra : baaho.n me.n aao tum ko bataa_uu.N la : bas bhii karo ra : ab na Daro raat hai ye apanii la : paayal chhanake, ka.Nganaa khanake badalii jaaye chaa.Nd merii ma.nzil ma.nzil chalanaa hogaa haatho.n me.n ab haath liye ra : merii duniyaa me.n tum aayii.n kyaa kyaa apane saath liye tan kii chaa.Ndii man kaa sonaa sapano.n vaalii raat liye merii duniyaa me.n tum aayii.n % #endindian \endsong %