% \startsong \stitle{aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai}% \film{Nai Umr Ki Nai Fasal}% \year{196?}% \starring{Rajeev, Tanuja}% \music{Roshan}% \singer{Rafi / Rafi, Asha}% \lyrics{Neeraj}% % % Contributor : Guri Singh, Arunabha Shashank Roy % Transliterator: K Vijay Kumar % \printtitle #startindian % % Rafi solo aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai aaj to tere binaa nii.nd na aayegii ab to tere hii yahaa.N aane kaa ye mausam hai ab tabiiyat na Kayaalo.n se bahal paayegii dekh vo chhat pe utar aayii hai saavan kii ghaTaa de rahii dvaar pe aavaaz kha.Dii puravaaii bijalii rah rah ke pahaa.D.n pe chamak uThatii hai suunii aa.Nkho.n me.n koii Kvaab le jyo.n a.nga.Daaii kaise samajhaa_uu.N? kaise samajhaa_uu.N ki is vaqt kaa matalab kyaa hai dil kii hai baat ho dil kii hai baat na ho.nTho.n se kahii jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots ye bhaTakate hue jugunuu ye diye aavaaraa bhiigate pe.Do.n pe bujh\-bujh ke chamak uThate hai.n tere aa.Nchal me.n Take salame.n sitaare jaise mujh se milane ko binaa baat damak uThate hai.n saaraa aalam saaraa aalam hai giraftaar tere husn me.n jab mujhase hii kaise ho, mujhase hii kaise ye barasaat sahii jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots raat raanii kii ye bhiinii sii nashiilii khushabuu aa rahii hai ke jo chhan chhan ke ghanii Daalo.n se aisaa lagataa hai kisii DhiiTh jhakhore se lipaT khel aayii hai tere ulajhe hue baalo.n se aur bezaar aur bezaar na kar, mere ta.Dapate dil ko aisii ra.ngiin ho, aisii ra.ngiin Gazal raat na phir gaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots % Asha - Rafi Duet aa: aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii ab to tere hii yahaa.N aane kaa ye mausam hai ab tabiiyat na Kayaalo.n se bahal paayegii haay paanii kii ye rimajhim ye khuledaar phuhaar aise nas nas me.n terii chaah jagaa jaatii hai jaise pi.njare me.n kisii qaid pa.De pa.nchhii ko apanii aazaad u.Daano.n kii yaad aatii hai ab to aa jaao ab to aa jaao mere maa.Ng ke sinduur suhaag saa.Ns terii hai saa.Ns terii hai tere naam pe miT jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots aisii hii raat to vo thii ki terii nazaro.n ne mujhe pahanaayaa thaa jab pyaar ke kapa.Do.n kaa libaas aur us raat bhii aisii hii sharaabii thii fizaa jab terii baaho.n me.n mahakii thii merii saa.Ns\-o\-adaa (?) aur ab aisii aur ab aisii javaa.N rut me.n akelii mai.n huu.N aa jaa varanaa aa jaa varanaa ye shamaa kaa.Np ke bujh jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots ra: par Thahar vo jo vahaa.N par Thahar vo jo vahaa.N leTe hai.n fuT_paatho.n par laash bhii jinake kafan tak na yahaa.N paatii hai aur vo jho.npa.De chhat bhii na hai sar par jin ke chhaate chhappar hii jahaa.N zi.ndagii so jaatii hai pahale in sab ke liye pahale in sab ke liye ek imaarat ga.Dh luu.N phir terii maa.Ng phir terii maa.Ng sitaaro.n se bharii jaayegii aa: aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots % #endindian \endsong %