% ITRANS SONG # 3459; Created on Jan 26, 2004 % \startsong \stitle{saajan kii galiyaa.N chho.D chale}% \film{Bazaar}% \year{1949}% \starring{Nigar, Shyam, Gop, Yakub, Kukku}% \singer{Lata}% \music{Shyamsunder}% \lyrics{Qamar Jalalabadi}% % % Audio On: Lata Mangeshkar: Nightingale of India % Contributor: Neha Desai % Transliterator: Neha Desai % Date: Dec 12, 2002 % Series: LATAnjali % Comments: The 2 CD set was released as "special edition on receiving Padma Vibhushan" by RPG/HMV % generated using giitaayan % \printtitle #indian % saajan kii galiyaa.N chho.D chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake ye jiinaa bhii koii jiinaa hai ham unako apanaa keh naa sake saajan kii galiyaa.N jab unase bichha.D kar aane lage \-2 ruk ruk ke chale chal chal ke ruke lab kaa.Npe aa.Nkhe.n bhar aayii kuchh kehanaa chaahaa keh naa sake saajan kii galiyaa.N chho.D chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake saajan kii galiyaa.N unake liye unako chho.D diyaa khud apane dil ko to.D diyaa ham unake dil me.n rehate the unake qadamo.n me.n reh naa sake saajan kii galiyaa.N chhoD chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake saajan kii galiyaa.N saajan hai.n wahaa.N aur ham hai.n yahaa.N aise dil ko le jaaye.n kahaa.N jo paas bhii unake reh naa sake aur dard\-e\-judaaii seh naa sake saajan kii galiyaa.N chho.D chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake saajan kii galiyaa.N % #endindian \endsong %