% \startsong \stitle{in havaao.n me.n, in fizaao.n me.n tujhako meraa pyaar pukaare}% \film{Gumraah}% \year{1963}% \starring{Sunil Dutt, Mala Sinha, Ashok Kumar}% \singer{Mahendra Kapoor, Asha}% \music{Ravi}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: Reeta Sinha (librs@unix.cc.emory.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % % (1st 2 stanzas only) in havaao.n me.n, in fizaao.n me.n tujhako meraa pyaar pukaare aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare ruk nA paauu.n mai.n, khichatii aauu.n mai.n, dil ko jab diladaar pukaare aajaa aajaa re tujhako meraa pukaare tujhase ra.ngat, tujhase mastii in jharano me.n, in phuulo.n me.n tere dam se merI hastii jhuule chaahat ke jhuulo.n me.n machalii jaaye.n shokh uma.nge, do baaho.n kA haar pukaare aajaa aajaa re dil me.n tere dil kii dha.Dakan, aa.Nkh me.n terI aa.Nkh kA jaadu lab par tere lab ke sa.ng, saa.Ns me.n terI saa.Ns kii khushabuu zulfo.n kA har pe.nch bulaaye, A.Nchal kA har taar pukaare aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare % Although the mood shifts, I find the "sad" version just a tad nicer... % (1st 2 stanzas again) !< in havaao.n me.n, in fizaao.n me.n tujhako meraa pyaar pukaare aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare ruk nA pAuu.n mai.n, khi.nchatI aauu.n mai.n dil ko jab diladaar pukaare lauT rahii hai.n merI sadAye.n diivaro.n se sar Takaraa ke haath paka.D kar chalane vaale ho gaye ruKasat haath chhu.Daake unako kuchh bhI yaad nahii.n hai, ab koI sau baar pukaare ilm nahii.n thA itanI jal{}dii khatam fasaane ho jaaye.nge tum begaane ban jaaoge, ham diivaane ho jaaye.nge kal baaho.n kA haar milaa thA, aaj ashko.n kA haar pukaare aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare % #endindian \endsong %